kaash mujhse bhi koi karta pyaar
baat pate ki kahunga mein, gaur farman har koi aaj
taj mahal mein bhi banwata, hoti mere paas bhi mumtaz.
chup chaap sehta main bhi duniya ke pathar ki maar
agar mere liye bhi kurbani dene ko, hoti koi laila tayaar.
lanka ko mitti mein milata, jaise usme tha sirf kaanch
samudra paar main bhi karta, agar aati meri sita pe aanch.
uske judai mein main bhi rota, peete peete banta devdas
mujhse milne ka raah dekhti, hoti koi chandramukhi khaas.
mera prem bhi amar kehlate, dete log uski misaal
hoti koi jiska mujhse na mile, hota radha jaisa haal.
deta main usko saari khushiyaan, poori karta main uski har ek aas
agar mere paas bhi koi aisi hoti, jisko hota mere dard ka ehsaas.