Bas Teri Bandagi

teri yaad mein har waqt, rehne lagi hai aankhen nam
tujh bin jina bhi kya jina, har khushi ab lagti kam
har khushi, har gum mein bas, aati hai teri hi yaad
maana tujhko hai khuda, toh aur kisse karu yeh fariyaad?
mann bhi jao ab toh tum, bohot le liya imthehaan
teri hi yaadon mein dooba, kahi yeh tanhaai na le le meri jaan
tu sirf mujhse ruthi naa, maano ruth gayi yeh zindagi
dosti yaari sab kucch chutha, reh gayi toh bas teri bandagi.

Comments

Popular posts from this blog

Just One Time

Lost in Transition

Uncomfortable Silence