jaane kyun
ganit seekhi, vigyaan bhi samjha, itihaas aur bhugol mein bhi lagaya apna mann har class mein padhai ki jam jam ke, har pariksha mein laaye pure ank top college mein dakhila liy, degree bhi paayi, phir bhi na tuta mera dum par jab zindagi ne leni shuru ki imtehaan, jaane kyun pad gayi har padhai itni kam college se nikal kar naukri ki, ikathe kiye maine bahut se dhan gaadi khareedi, bangla khareeda, mehnat mein tab bhi na thi kasar kam mehnat ki uss kamaai ne yaaron, badal daali har mausam ke rang par jab rakha kadam pyaar ke bazaar mein, jaane kyun pad gayi saari daulat kam dekh kar logon ki bheed, dhundhne nikala main ek humdum galiyaan suni, thokar khaye, aur har manjhar mein mile bas gum hi gum rishte tute, dosti chutti, par na mili mujhe koi sanam che arab ki iss duniya, jaane kyun lagne lage log itne kam